Momineen khushian manaein aur zalimeen apnay din ginein....
Muslih.qaum, nijaat dahindaa, amreeki maseeha kaa mulk.e.pakistan pay baa barkat nazool 24 jan ko honaa qaraar paaya hai...
Zulmat kaa durr khatam hoaa aur haq aagaya, aur bayshakk baatill ko mitnaa hee thaa....
Huzoor.e.pur noor kaa istaqbaal qurbaani daynay wala idaara apnay khosoosi hawai adday, chaklala air base pay karay gaa aur hazrat kee hifazat pay sur.ba.kuff naujawan.e.millat, qurbaani daynay walay idaaray ne huma waqt maamoor keay hein...
http://www.dawn.com/2012/01/18/mansoor-ijaz-recieves-visa-expected-to-arrive-on-24th-january.html