yeh achanak kiaa maajraa hogaya??
Saday Shareef ko koi yaad dilaey kay onn koo shaid Musharraf ko latkaana thaa. pata nahi kion pehlay parliament mein bill nahi paish kiaa, phir SC mein apni petition ko follow up nahi kiaa aur ab tou demand karnaa hee chor diaa.
Jang group aur pkpolitics aur "Shareef day matwalay" shor macha rahay thayy kay Abdullah ne Musharraf ko zaleel karr diaa, aur saday Shareef ne abdullah se courtesy meeting kee thee. laikin meeting kay baad Musharraf dhaddallay se biyaan baazi karr raha hai, aur saday shareef ko chup lagg gaee.
yeh 1 din mein kiaa maajraa hogaya?
Saday Shareef ko saanp songh giaa
aakhir saday Shareef ko awami jazbaat se khel kay kiaa mill gaya? jo kaam woh karr nahi saktaa, oss kay baray mein baray baray daaway kion kartaa hai? Sada Shareef munafiqat kab choray gaa? aur yeh koi anchor person N-League waloo se kion nahi poochtaa kay Musharraf ko kab latkanay kaa iraada hai?